nuqta-e-sifr par waqt ka panw tha
zad mein sailab ki jab har ek ganw tha
nuh ne apni kashti ko taKHliq ki
jumla anwaa se bhar liya
ruba maskon ke sailab par apni kashti liye
koh-e-judi ki choTi ko sar kar liya
nuh ke waste jis parinde ki minqar mein
barg-e-zaitun tha
wo umid-e-musalsal ka qanun tha
hum jo kashti se aur barg-e-zaitun se
koh-e-judi se mahrum hain
mubtala hum ko is imtihan mein kya kis liye
itni lashon makanon ke malbon
ukhaDte daraKHton sisakte parindon
shikasta badan rewDon ko
kahan le ke jaen
hum to sailab se qabl bhi
mustaqil ek sailab ki zad mein hain
bhuk iflas bimariyan
zulm nadariyan
bad-diyanat shabon ki siyah-kariyan
ek pur-haul sailab se kam nahin
gardish-e-roz-o-shab se nikalte hue
nuh ne rah pali thi jine ki KHatir
aur tufan bhi ruk gaya tha safine ki KHatir
ab hamare liye koi murkkab nahin
koi kashti nahin
jis ke bal par kahin par utar jaen hum
nuqta-e-sifr par waqt ke panw ki tarah
ek pal Thahar jaen hum
jab ye kuchh bhi mayassar nahin hai to phir
hum ko fitrat ke qanun ab aazmate hain kyun
nuh ke baad tufan aate hain kyun
Nazm
Nuh ke baad
Sahar Ansari