اردو हिंदी
Nuqush | Shaahi Shayari
nuqush

Nazm

Nuqush

Prem Warbartani

;

kachchi diwar se girti hui miTTi ki tarah
kanp kanp uThta hai barbaad-e-mohabbat ka wajud

hasraten sut ke dhagon ki tarah nazuk hain
dard ki kauDiyan kis tarah bandhengi in mein

kaun ghuTnon mein liye sar ko akela tanha
roz rota hai muradon ke hasin manDap mein

kitni viran hai ujDe hue KHwabon ki munDer
bhuli-bisri hui yaadon ke papihe chup hain

hae kya sham thi wo sham wo dehat ki sham
meri aaankhon mein dhanak jhul gai panghaT par

aur jab jhum ke alghuza uThaya main ne
chandni apna ghaDa bhul gai panghaT par

nind ke nashshe mein lahrane lagin maTiyaren
apni hi banhon mein bil khane lagin maTiyarin

mere alghuze ki har tan se pighla tera rup
mere har git se barsi kabhi chhanw kabhi dhup

kaun barson ki bujhi rakh kurede ai dost
ganw se dur kisi ajnabi rah-raw ki tarah

shab ki tanhai ke jangal mein ghira baiTha hun
dil mein zaKHmon ke sulagte hue kuchh naqsh liye

ek dhundla sa tasawwur hai kisi sapne ka
warna har lamha-e-sayyal mujhe yaad nahin

teri surat to bahut der hui bhul gai
ab to apne bhi KHat-o-KHal mujhe yaad nahin