nai tahzib ke shahkar-e-azim!
teri pur-kaif o tarab-KHez fazaon ko salam!
kitne nau-KHez o hasin jism yahan chaaron taraf
raqs mein mahw hain uryani ki taswir bane
apni ranai o zebai ki tashhir bane
saz-e-pur-josh ki sangat mein thirakte joDe
farsh-e-marmar pe phisalte hain bahak jate hain
dauDti jati hai rag rag mein sharab-e-gulfam
nai tahzib ke shahkar-e-azim!
teri pur-kaif o tarab-KHez fazaon ko salam!
un ki aankhon se chhalakti hai hawas ki masti
un ke sinon mein farozan hain wo jinsi shoale
jin ki ek ek lapaT se hai bhasam sharm-o-haya
qahqahe, saz ki tanon mein Dhale jate hain
lams ki aag mein sab jism jale jate hain
aankh ke Doron mein poshida hain mubham se payam
nai tahzib ke shahkar-e-azim!
teri pur-kaif o tarab-KHez fazaon ko salam
dhaDkanen tez huin shauq ki lai baDhne lagi
jism par tangi-e-malbus zara aur baDhi
aankh mein nashshe ki ek lahr zara aur chaDhi
larzish-e-pa se jhalakne lagi dil ki laghzish!
dafatan jaz ki pur-josh sada band hui
raushni Dub gai phail gai zulmat-e-shab
jism se jism ki qurbat jo bujhane lagi aag
dopahar Dhal gai jazbaat ki hone lagi sham
nai tahzib ke shahkar-e-azim!
teri pur-kaif o tarab-KHez fazaon ko salam
jal gaya sina-e-sozan mein hi insan ka zamir
ruh ki chiKH fazaon mein kahin Dub gai
ruKH-e-tahzib pasine mein sharabor hua
ilm hai sar-ba-gareban o adab mohr-ba-lab
kis se is daur-e-jarahat mein ho marham ki talab
mulk-e-tahzib mein changez hai phir KHun-asham
nai tahzib ke shahkar-e-azim!
teri pur-kaif o tarab-KHez fazaon ko salam
Nazm
Night-club
Saleem Betab