aankhen ek nigar-KHana
jahan an-ginat chehre KHud ko naqsh kar ke
zist ke safar par nikalte hain
aur aankhen un mein wafa ke rang bharti hain
achanak
jazbon ke mausam badalte hain
aur be-e'tibari ki gard se aTe chehre
jab lauTte hain
to pahchane nahin jate
aankhen sab ko un ki alamaten batati hain
magar chehre inkar ki dhund mein chhap jate hain
aur padash mein dukhon ke kitne hi qafile
aankhon ke sahil par paDaw Dal lete hain
jahan se paniyon ke aise silsile phuT nikalte hain
ki aankhon mein naqsh sabhi chehre dhul jate hain
aur sannaTe tairne lagte hain
Nazm
Nigar-KHana
Muneer Ahmad Firdaus