ye barr-e-azam ki sari balaen
suna hai ki ab muntashir ho rahi hain
falak-bos tahzib ke cactus jhonpaDon ki riwayat ko Das rahe hain
magar
kam nahin ye ki apni zamin aur apni faza mein
siyah paikaron ki do-dhaari ana aur aahan iradon ne
apne liye ab nae tewaron ke ujale tarashe
andheri zaminon se mere nikale
KHat-e-ustuwa ke ghane jangalon ki amal-dariyon mein hain dipak jalae
qabilon ki har bahami jang ko shaKH-e-zaitun ke zamzame hain sunae
dahakte hue reg-zaron ke niche
siyah zar ke chashmon ko mahmez di hai
ye tahrik ye inqalab sare
nelson madela
tumhaari ragon mein naya KHun shab-o-roz pahuncha rahe hain
tumhaari hatheli ko suraj mein tabdil karne lage hain
tumhaari nazar mein bhare manzaron ki dhanak bo rahe hain
salaKHon ke pichhe akele nahin tum
siyah barr-e-azam tumhaari jilau mein
nahin
sari duniya tumhaari jilau mein
Nazm
Nelson mandela
Ambar Bahraichi