main ne tanha kabhi us ko dekha nahin
phir bhi jab us ko dekha wo tanha mila
jaise sahra mein chashma kahin
ya samundar mein minar-e-nur
ya koi fikr-e-auham mein
fikr sadiyon akeli akeli rahi
zehn sadiyon akela akela mila
aur akela akela bhaTakta raha
har nae har purane zamane mein wo
be-zaban tirgi mein kabhi
aur kabhi chiKHti dhup mein
chandni mein kabhi KHwab ki
us ki taqdir thi ek musalsal talash
KHud ko DhunDa kiya har fasane mein wo
bojh se apne us ki kamar jhuk gai
qad magar aur kuchh aur baDhta raha
KHair-o-shar ki koi jang ho
zindagi ka ho koi jihad
wo hamesha hua sab se pahle shahid
sab se pahle wo suli pe chaDhta raha
jin taqazon ne us ko diya tha janam
un ki aaghosh mein phir samaya na wo
KHun mein wed gunje hue
aur jabin par farozan azan
aur sine pe raqsan salib
be-jhijhak sab ke qabu mein aaya na wo
hath mein us ke kya tha jo deta hamein
sirf ek kil us kil ka ek nishan
nashsha-e-mai koi chiz hai
ek ghaDi do ghaDi ek raat
aur hasil wahi dard-e-sar
us ne zindan mein lekin piya tha jo zahr
uTh ke sine se baiTha na is ka dhuan
Nazm
Nehru
Kaifi Azmi