اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zeeshan Sahil

;

meri dost ab tum
jahan ho wahan par

na jaane hawaon ki raftar kya hai
sitaron se aabaad

raston mein hail
ye baadal hain kaise

ye diwar kya hai
mohabbat hai aazad

lekin dilon mein
parindon ki tarah

giraftar kiya hai
jahan hum hain shayad

wahan roz-o-shab mein
bas ek KHwab hai

aur ufuq par kiya hai