اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zeeshan Sahil

;

ek subh jab bahaar thi kamre mein mez pe
phulon ke rang chae ki KHushbu se tez the

khiDki se aa rahi thi kisi git ki sada
Thahri hui thi nind mein Dubi hui hawa

rakkhe hue the takiye ke niche tumhaare KHwab
panchhi abhi uDe na the shaKHon pe bol ke

dekha na tha kisi ne bhi aKHbar khol ke
jis mein tumhaare bare mein koi KHabar na thi

tum dur ek naddi ke kinare ke pas thin
wadi mein ek sabz sitare ke pas thin