ai KHuda ai lam-yazal
har nazar mein KHwab rakh
kya zamin kya falak
had-e-ab-o-tab rakh
intishaar-e-husn mein
husn-e-intiKHab rakh
KHar-o-KHas sameT le
har taraf gulab rakh
dil ke taqche na dekh
jo hai be-hisab rakh
apni bargah mein
sab ko baryab rakh

Nazm
Nazm
Zeeshan Sahil