اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Zeeshan Sahil

;

shairon se Daro
KHwabon ka hand grenade hai un ke pas

agar ziyaada kuchh kaha to
diwar pe de marenge

agar chhinne ki koshish ki to pani mein Dal denge
jo bhi hai un ke pas

tumhein nahin lene denge
agar bahut sare jama ho ke aaoge

to bhi
aasman hai un ke pas

baadalon ka lashkar la ke tumhein Dubo denge
zamin hai un ke pas tumhein

kahin jaane na denge
kashti hai un ke pas

tumhein biTha ke le jaenge aur kisi
jazire par chhoD denge

chiDiyon ke sath rahoge to sab kuchh bhul jaoge
shairon ki shakl bhi aur apni bhi

jab wo tumhein wapas lene aaenge
shayad tum chiDiyon ko aage kar doge