main use bulata hun
aur wo aa jata hai
meri kitabon ke waraq ulaT palaT karta hai
phir wo meri mez par panw rakh kar
us ki man ne bhi us ke sath yahi suluk kiya tha
aur us ki man ke sath
aur us ki man ne bhi
to kya tum ne apni man ko muaf kar diya tha?
aur kya lauT ke aane wali man
pahle wali man hi thi?
mere sawalat par meri man ki nazren jhuk gai thin
hamein janm dene wali maen
aur hamari parwarish karne wale bap
ek din hum se jhuT bol kar nikalte hain
aur jab wo lauT kar aate hain
to wo wo nahin hote
hamare sawalat par
un ki nigahen nichi hoti hain
aaj main apne bachche se jhuT bol kar ghar se nikla hun
aur bas kya bataun
main apne ghar ka rasta bhul gaya hun
Nazm
Nazm
Saeeduddin