dair viran hai haram hai be-KHarosh 
barhaman chup hai muazzin hai KHamosh 
soz hai ashlok mein baqi na saz 
ab wo KHutbe mein na hiddat hai na josh 
ho gai be-sud talqin-e-sawab 
ab dilaen bhi to kya KHauf-e-azab 
ab harif-e-shaiKH koi bhi nahin 
KHatm hai har ek mauzu-e-KHitab 
aaj maddham si hai aawaz-e-darud 
aaj jalta hi nahin mandir mein ud 
kya qayamat hai yakayak ho gaya 
mahfil-e-zohhad par tari jumud 
rabb-e-bar-haq KHaliq-e-ali janab 
ho gae apne mission mein kaamyab 
silsila rushd-o-hidayat ka hai KHatm 
aasman se ab na utregi kitab 
mar gaya ai wae shaitan mar gaya
        Nazm
Nazm
Gopal Mittal

