اردو हिंदी
Nazm | Shaahi Shayari
nazm

Nazm

Nazm

Adil Mansuri

;

tabuk aawaz de raha hai
zamin se ab jo chipak rahega

munafiqon mein shumar hoga
lahu ke suraj ki lal aanhken

udas lamhon ko sunghti hain
khajur pakne ka waqt bhi hai

swariyan aur safar ka saman sath le lo
KHuda baDa hai

bahut baDa hai
KHuda baDa hai

tumhaare unTon ki gardanon se
tamam duniya mein nur phaile

tumhaare ghoDon ki hinhinahaT
tumhaari manzil ki rah khole

bulandiyon ki taraf bulata hai aaj koi
ye dhup sae ke sath hogi

hawa mein hansta nishan dekho
wo uDte parcham ki shan dekho

abhi abhi qafila gaya hai
tabuk aawaz de raha hai

main apne ghoDe ki bag moDun
main apne ghar ki taraf na jaun