KHun patthar pe sarak aaya
gahra nila rang hawa mein Dub gaya
jal-kanya ke jism pe kale sanp ka saya lahraya
dariya dariya zahr chaDha
gili ret pe dhup ne apna nam likha
muTThi mein machhli ka aansu sukh gaya
ghoDon ki Tapon se kamra gunj uTha
KHargoshon ki aankhon se suraj nikle
phir dariya ki naf mein kashti Dub gai
kaghaz ke sahra mein pani mat DhunDo
ahram ke darwaze kab khulte hain
hanger pe kapDe ki lash laTakti hai
parbat parbat nangi ruh bhaTakti hai
mujh se ye puchho logo main kya hun
zang-aluda shahr pe thukne aaya hun
Nazm
Nazm
Adil Mansuri