barahna-sar hain barhana tan hain barhana-pa hain
sharir ruhen
zamir-e-hasti ki aarzuen
chaTakti kaliyan
ki jin se buDhi udas galiyan
mahak rahi hain
gharib bachche ki jo shua-e-sahar-gahi hain
hamari qabron pe girte ashkon ka silsila hain
wo manzilen jin ki jhalkiyon ko hamari rahen
taras rahi hain
unhi ke qadmon mein bas rahi hain
hasin KHwabon
ki dhundli duniyaen jo sarabon
ka rup dhaare
hamare ehsas par sharare
unDelti hain
unhin ki aankhon mein khelti hain
unhi ke gum-sum
udas chehron par jhilmilate hue tabassum
mein Dhal gae hain hamare aansu hamari aahen
tawil tarikiyon mein kho jaenge jab ek din
hamare sae
is apni duniya ki lash uThae
to sail-e-rawan
ki koi mauj-e-hayat-saman
farogh-e-farda
ka ruKH pe Dale mahin parda
uchhal ke shayad
sameT le zindagi ki sarhad
ke us kinare
pe ghumte aalamon ke dhaare
ye sab ja hai ba-ja hai lekin
ye totli nau-KHiram ruhen ki jin ki har sans angbin
agar inhi konpalon ki qismat mein naz-e-baalidgi nahin hai
to bahti nadiyon
mein aane wali hazar sadiyon
ka ye talatum
sukut-e-paiham ka ye tarannum
ye jhonke jhonke
mein khulte ghunghaT nai ruton ke
thaki KHalaon
mein lakh an-dekhi kahkashaon
ki kawish-e-ram
hazar na-afrida aalam
tamam baatil
na un ka maqsad na un ka hasil
agar inhi konpalon ki qismat mein naz-e-baalidgi nahin hai
Nazm
Nazhad-e-nau
Majeed Amjad