abhi ek sal guzra hai yahi mausam yahi din the
magar main apne kamre mein bahut afsurda baiTha tha
na koi sanwle mahbub ki yaadon ka afsana
na aiwan-e-zamistan ki taraf jaane ki kuchh KHwahish
kisi ne haal puchha to bahut hi be-niyazi se
kaha ji han KHuda ka shukr hai main KHairiyat se hun
koi ye puchhta kyun aaj kal koi ghazal likkhi
na jaane baat kya hai in dinon kuchh aisa lagta hai
tumhaari har ghazal mein mir ka andaz milta hai
har ek misre se jaise dhimi dhimi aanch uThti hai
tumhaare sher paDh kar jaane kyun mahsus hota hai
ki koi saz par maddham suron mein gungunata hai
magar ek baat puchhun tum KHafa to ho na jaoge
ye aaKHir kya sabab hai aaj kal nazmen nahin likhte
tumhaari aap-biti bhi abhi tak na-mukammal hai
ise to naqidan-e-fan ne sunte hi saraha hai
main sab sunta magar ye dil hi dil mein sochta rahta
mere ahbab kya jaanen ki mujh par kya guzarti hai
mere afkar pe ye kaisi virani si chhai hai
bahut kuchh sochta hun phir bhi ab socha nahin jata
bahut kuchh chahta hun phir bhi koi bas nahin chalta
magar is bebasi mein bhi mere dil ki ye haalat thi
kabhi jab koi achchhi chiz paDhne ke liye milti
to pahron ruh par ek wajd ki si kaifiyat hoti
ragon mein meri jaise KHun ki gardish tez ho jati
lahu ka ek ek qatra ye kahta main to zinda hun
meri pamaliyon mein pal rahi hai ek tawanai
yahi aalam raha to jaane main kis roz uTh baiThun
basant aaya to yun aaya ki main bhi jaise uTh baiTha
sawera hote hi har samt se jhonke hawaon ke
nai KHushbu liye mujh ko jagane ke liye aae
jidhar bhi aankh uThata hun shafaq ki muskurahaT hai
wahi suraj hai lekin aur hi kuchh jagmagahaT hai
na jaane kaise kaise phul ab mujh ko bulate hain
na jaane kitne kitne rang se dil ko lubhate hain
faza mein dur tak phaile hue wo khet sarson ke
ye kahte hain ki ab arman nikalo apne barson ke
tumhaare samne phaila hua maidan sara hai
koi aawaz deta hai ki aao tum hamare ho
meri dharti ke beTe meri duniya ke dulare ho
tumhaari aankh mein jo KHwab soe hain wo mere hain
tumhaare ashk ne jo bij boe hain wo mere hain
isi wadi mein phir se lauT kar ab tum ko aana hai
tumhaari hi ye basti hai tumhin ko phir basana hai
ab is basti mein rakhte hi qadam kuchh aisa lagta hai
ki is ka zarra zarra patta patta kuchh naya sa hai
har ek raste pe jaise kuchh nae chehre se milte hain
yahi ji chahta hai jo mile ab us se ye puchhen
tumhaara nam kya hai? tum kahan ke rahne wale ho
kuchh aisa jaan paDta hai ki pahle bhi mile hain hum
rahe hain sath ya ek dusre ko jaante hain hum
agar tum sath the to tum bhi shayad dost the mere
mujhe yaad aaya donon sath hi college mein paDhte the
wo sare doston ka jama hona mere kamre mein
wo gap shap qahqahe wo apne apne ishq ke qisse
wo miras road ki baaten wo charche KHub-ruyon ke
kabhi aawaragardi apni un viran saDkon ki
kabhi baaton mein raaten kaTna sunsan jaDon ki
kabhi wo chandni mein apna yun hi ghumte rahna
kabhi wo chae ki mezon pe ghanTon baiThna sab ka
wo baaten ilm-o-hikmat ki kabhi shikwe-shikayat ki
tumhein to yaad hoga un mein hi ek dost shair tha
zara dekho to mujh ko ghaur se shayad wo main hi tha
bahut din mein mile hain hum to aao aaj ji bhar kar
hansen bolen kahin aawaragardi ke liye niklen
chalen aur chal ke sare doston ko phir bula laen
sajaen aaj phir mahfil kahin pine pilane ki
main tum ko aaj apni kuchh nai baaten bataunga
main tum ko aaj apni kuchh nai nazmen sunaunga
Nazm
Naya janm
Khalilur Rahman Azmi