اردو हिंदी
Nauha | Shaahi Shayari
nauha

Nazm

Nauha

Mohammad Alvi

;

na marne ka Dar hai
na jine mein koi maza hai

KHala hi KHala hai
har ek chiz jaise

andhere mein gum ho gai hai
ujale ki ek ek kiran kho gai hai

har ek aarzu so gai hai
gunah mein bhi ab koi lazzat nahin hai

wo dozaKH nahin
ab wo jannat nahin hai

koi bhi nahin hai
bas ab main hun

aur mera sunsan dil hai
KHuda ke na hone ka gham

kis qadar jaan-gusil hai