kis naz kis ada se nasim-e-sahar chali
bu ki tarah rawan hui misl-e-nazar chali
baghon ka ruKH kiya to giraati samar chali
shabnam ki pattiyon ko luTati guhar chali
phulon ke jam baada-e-masti se bhar chali
ahl-e-chaman ko KHwab se bedar kar chali
ru-e-chaman ko dekh ke zinat machal paDi
sabze ko chheD-chhaD ke lahra ke chal paDi
taKHte gulon ke chashm-e-zadan mein khila chali
KHushbu ke aur shamim ke dariya baha chali
sajde mein shukr ke liye shaKHen jhuka chali
chiDiyon ko shaKH shaKH pe jhula jhula chali
patton ko laDkhaDati hui ja-ba-ja chali
bazm-e-tarab ka rang chaman mein jama chali
sumbul ko zulf-e-naz ko suljha ke chal paDi
daman ko KHar KHar se uljha ke chal paDi
Nazm
Nasim-e-sahar
Mela Ram Wafa