purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
wo jab paida hue
un ke qabile ne
kai raaten
mubarak saaton ke jashn mein kaTin
KHuda ki bartari ke git gae
aur ghulamon bandiyon ko qaid se aazad kar Dala
kai din un ke KHeme
chiKHti KHushiyon ka gahwara rahe
un ke buzurgon ne
gharibon aur mohtajon ko
jins be-baha banTi
bahut se jaanwar zabh kiye
sare qabile ne
kai din tak
kuon se Dol khinche
rah-giron ki duaen lin
wo sab nau-zaidon ko god mein le kar
rajaz gate
salaf ke karnamon ka bayan karte
wo jab paida hue
farKHanda talea the
magar ek din
nasab-zadon ne
apne astabal khole
saba-raftar ghoDon ke badan par chabuken marin
hawa ke dosh par neze uchhaale
nek tinat taifon ki bastiyan taraj kar aae
wo pahli raat thi
un ke qabile ki koi aurat
nasab-bardar apne shauharon ki god mein aa kar nahin soi
Nazm
Nasab-zade
Zubair Rizvi