apna hi sa ai nargis-e-mastana bana de
main jab tujhe jaanun mujhe diwana bana de
har qaid se har rasm se begana bana de
diwana bana de mujhe diwana bana de
ek barq-e-ada KHirman-e-hasti pe gira kar
nazron ko meri tur ka afsana bana de
har dil hai teri bazm mein labrez-e-mai-e-ishq
ek aur bhi paimana se paimana bana de
tu saqi-e-mai-KHana bhi tu nashsha o mai bhi
main tishna-e-hasti mujhe mastana bana de
allah ne tujh ko mai o mai-KHana banaya
tu sari faza ko mai o mai-KHana bana de
tu saqi-e-mai-KHana hai main rind-e-bala-nosh
mere liye mai-KHane ko paimana bana de
ya dida-o-dil mein mere tu aap sama ja
ya phir dil-o-dida hi ko virana bana de
qatre mein wo dariya hai jo aalam ko Dubo de
zarre mein wo sahra hai ki diwana bana de
lekin mujhe har qaid-e-tayyun se bacha kar
jo chahe wo ai nargis-e-mastana bana de
aalam to hai diwana jigar! husn ki KHatir
tu apne liye husn ko diwana bana de
kab tak nigah-e-yar na hogi mutabassim
tu apna har andaz harifana bana de
munkir tu na ban husn ke eajaz-e-nazar ka
kahne ke liye apne ko begana bana de
jab tak karam-e-KHas ka dariya na umanD aae
tu aur bhi haal apna safihana bana de
but-KHane aa nikle to kaba ki bina Dal
kabe mein pahunch jae to but-KHana bana de
jo mauj uThe dil se tere josh-e-talab mein
sar rakh ke wahin sajda-e-shukrana bana de
jab mail-e-altaf nazar aae wo KHud-bin
tu har nigah-e-shauq ko afsana bana de
kaunain bhi mil jae to daman ko na phaila
kaunain ko bhula hua afsana bana de
phir arz kar is tarah 'jigar' shauq o adab se
bebak agar jurat-e-rindana bana de
tujh ko nigah-e-yar! qasam mere junun ki
naseh ko bhi mera hi sa diwana bana de
main hun tere qadmon mein mujhe kuchh nahin kahna
ab jo bhi tera lutf-e-karimana bana de
Nazm
Nargis-e-mastana
Jigar Moradabadi