pahle raaten itni lambi kab hoti thin
jo bhi hisab aur khel hua karta tha
sab mausam ka tha
roz-o-shab ki har saat ka ek jaisa paimana tha
apne milne wale sare
jhuTe sachche
yaron se ek mustahkam yarana tha
lekin
apne dard ki samton ki pahchan na rakhne wale dil
ye sochna tha
har KHwab ki qimat hoti hai
aur ab in do aankhon mein itne
tarah tarah ke
duniya bhar ke KHwab bhare hain
in mein se ek ek ko gin kar
sab ke munasib dam chukana
is ke liye to do sadiyan bhi kam hongi
kangle
itni naqadi kahan se aaegi

Nazm
Naqadi kahan se aaegi
Shaheen Gazipuri