main thi aaina farosh
koh-e-ummid ke daman mein
akeli thi ziyan koshish
surayya ki thi ham-dosh
mujhe har roz hama-waqt thi bas apni KHabar
main thi KHud apne mein madhosh
main wo tanha thi
jise pair milane ka saliqa bhi na tha
main wo KHud-bin thi
jise apne har ek ruKH se mohabbat thi bahut
main wo KHud-sar thi
jise han ke ujalon se bahut nafrat thi
main ne phir qatl kiya KHud ko
piya apna lahu hansti rahi
log kahte hain hansi aisi suni tak bhi nahin
Nazm
Nafi
Kishwar Naheed