un ki bargah mein 
jangal ke sher 
jarob-kashi karte hain 
maut ne un se wada kiya tha 
aag nahin jalaegi 
satwin nasl tak 
lekin main hun 
aaThwin nasl mein 
main ne un ki safed KHushbu ko mahsus kiya hai 
un ki dastar ka 
ek sira mashriq mein gum hai 
ek sira ek aur mashriq mein gum hai 
wo suraj ke aage aage qaba pahan kar chalte hain 
hum apni hadon mein simTe hue 
unhen dekhte hain 
aur kahte hain nae shahron ki buniyaad wahi rakhte hain 
jo jangal ke sheron ko 
jarob-kashi par mamur kar den 
hum to 
apne ghoDon ki gardan par 
bag bhi nahin chhoD sakte
        Nazm
Nae shahron ki buniyaad
Rais Farogh

