andeshon ke darwazon par
koi nishan lagata hai
aur raaton raat tamam gharon par
wahi siyahi phir jati hai
dukh ka shab KHun roz adhura rah jata hai
aur shanaKHt ka lamha bitta jata hai
main aur mera shahr-e-mohabbat
tariki ki chadar oDhe
raushni ki aahaT par kan lagae kab se baiThe hain
ghoDon ki Tapon ko sunte rahte hain
had-e-samaat se aage jaane wali aawazon ke resham se
apni ru-e-siyah pe tare kaDhte rahte hain
angushta ne ek ek kar ke chhalni hone ko aae
ab bari angusht-e-shahadat ki aane wali hai
subh se pahle wo kaTne se bach jae to!
Nazm
Nae sal ki pahli nazm
Parveen Shakir