raat ke meade mein kari zahr hai jalta hai jis se tan badan mera
main kab se chiKHta hun dard se chillata phirta hun
tashaddud KHauf dahshat barbariyat
aur mughalliz raat ki ranon mein shahwat
ek kala phul banti hai
shahwat jagti hai ghurti hai surKH aankhon se
wo chehre nochti khati hai apne tund jabDon se
ye kaisa zahr hai jo phailta jata hai meade mein
ye kari zahr hai jo raat ke meade se Tapka hai
tashaddud KHauf dahshat barbariyat
raat ke kale sitam-gar siyah mathe par
nadamat hi nadamat hai

Nazm
Nadamat hi nadamat
Tabassum Kashmiri