aaj bachpan ko dafn kar aae
mohni jhurriyan subuk aankhen
mehrban shafqaton se pur chehra
thapkiyan dete hath narm aaghosh
chahaten dekh-bhaal pyar dular
sare kumbe ki fikr sab ka KHayal
rabte rishte-dariyan nate
KHatiren waza-dariyan mehman
martabe haisiyat hisab-nisab
nazm-o-tartib ghar ke iKHrajat
maut mayyat byah paidaish
taziyat tahniyat ke chaal-chalan
chhuTTi aashura id aur baraat
har baDe chhoTe din ka pas-o-lihaz
roze naflen wazife tasbihen
sadqa minnat murad pir-faqir
KHair-KHairaat baKHshishen nazren
lag-lag len-den mel-milap
puchh-gachh rakh-rakhaw rit-riwaj
raunaqen KHush-kalamiyan aadab
raat qisse kahaniyan chuhlen
mez almari pandan palang
zaiqe rang KHushbuen chehre
in mohallon ka KHushnuma mahaul
in gharon ki riwayati tahzib
aaj ek daur jaise Dub gaya
aaj tifli ka sath chhuT gaya
aaj bachpan ko dafn kar aae
Nazm
Nani-aman ki wafat par ek nazm
Abdul Ahad Saaz