اردو हिंदी
Nam kya lun | Shaahi Shayari
nam kya lun

Nazm

Nam kya lun

Habib Jalib

;

ek aurat jo mere liye muddaton
shama ki tarah aansu bahati rahi

meri KHatir zamane se munh moD kar
mere hi pyar ke git gati rahi

mere gham ko muqaddar banae hue
muskuraati rahi

us ke gham ki kabhi main ne parwa na ki
us ne har haal mein nam mera liya

chhin kar us ke honTon ki main ne hansi
teri dahliz par apna sar rakh diya

tu ne meri tarah mera dil toD kar
mujh pe ehsan kiya