aur janmon se tere andar chhupa tha wo bhi main
aur tere izhaar se bahar uDa tha wo bhi main
aur tujh se tujh talak jo fasla tha wo bhi main
aur sare faslon mein rasta tha wo bhi main
aur teri raat ki zad par jala tha wo bhi main
aur aiwan-e-falak mein jo bujha tha wo bhi main
aur khanDar ke dil mein jo naghma-sara tha wo bhi main
aur sifar ke gumbadon mein gunjta tha wo bhi main
aur na hone ki faza mein ho gaya tha wo bhi main
aur tere rang se bichhDa hua tha wo bhi main
aur badan ke par tujh ko DhunDta tha wo bhi main
aur sanson ke kinaron par basa tha wo bhi main
aur adam ke baadbanon mein hawa tha wo bhi main
aur bikhri kahkashan ka silsila tha wo bhi main
aur sayyaron ke mehwar se uga tha wo bhi main
aur azal ki ruh se pahle bana tha wo bhi main
aur abad ke us taraf ek naqsh-e-pa tha wo bhi main
aur KHud apne se pahle aa paDa tha wo bhi main
aur KHud apne se pahle ja chuka tha wo bhi main
Nazm
Na-mukammal taaruf
Riyaz Latif