banjar chehre
jin par
na barish ki pahli bund ka
izhaar ugta hai
na aate jate lamhon ka
koi iqrar inkar
na itminan na Dar
aankhen
jin mein koi nigah
palkon se nahin ulajhti
baqi hawas bhi
KHushbu aur KHushbu ki shohrat se
aawaz aur aawaz ki quwwat se
yaksar aari hain
kaun hain ye log
kis mauj-e-fuzuliyat ki zad mein aa gae hain
chup khaDe hain
aur hum
din bhar mein
shahr ke sare
farishton aur shaitanon se
mil kar lauT aate hain
magar ye chup khaDe hain
na qael hote hain
na zail!
in se hamara talluq
abhi tak wazeh nahin hua
talluq is liye
ki hum mazdur hain
aur ye jaanne ka
ishtiyaq rakhte hain
hamein kya kaam milega
in ke liye tower banane ka
ki in ke liye qabren khodne ka!
Nazm
Na qael hote hain na zail
Rajinder Manchanda Bani