subh-dam jo dekha tha
kya hara-bhara ghar tha
DanTti hui biwi
bhagte hue bachche
rassiyon ki banhon mein
jhulte hue kapDe
bolte hue bartan
jagte hue chulhe
ek taraf ko guDiya ka
adh-bana gharaunda tha
dur ek kone mein
cycle ka pahiya tha
murghiyon ke Darbe the
kabuken thin, pinjra tha
tis gaz ke aangan mein
sab hi kuchh to rakkha tha
ek pal mein ye manzar
kyun badal sa jata hai
ek dhuan sa uThta hai
han magar dhundalke mein
kuchh dikhai deta hai
ja-namaz ka kona
jhaDiyon mein uljha hai
safha-e-kalam-e-pak
KHak par larazta hai
sath aur KHabron ke
ye KHabar bhi chhapti hai
log is ko paDhte hain
baaten hoti rahti hain
kaam chalte rahte hain
embulance edhi ki
bain karti aati hai
sab jali kaTi lashen
sath le ke jati hai
subh tak sabhi lashen
dafn kar di jati hain
auraton ki bachchon ki
buDhon aur jawanon ki
masjidon se hoti hain
barishen azanon ki
la-ilah il-lallah
la-ilaha il-lallah
Nazm
Muslim muslim fasadat
Zehra Nigaah