duniya ki ila-billa Thasi paDi hai mujh mein
han kuchh kaam ki chizen bhi hain is kabaD-KHane mein
ilhami kitabon se le kar falsafa-e-adab aur shairi tak ki
libraryan bhari paDi hain dimagh mein
aankhon mein utar kar dekhen to husn-e-do-alam paenge jalwa-afroz
pure pure nigar-KHane mere bhi sanam-KHane tere bhi sanam-KHane
kanon mein baiThuon se le kar kop-land ki samfaniyan
aur tansen ki bandishon se raushan-ara begam ki gaiki tak mahfuz hai aaj bhi
lekin gand to macha rakkha hai mere jism ne
aur is ke andar dhaDakte dil ne
gandagi ka Dipo hai mera ye jism
balki karKHana hai gandagi ka
achchhi se achchhi chiz Dalen aap is mein
bol-o-baraaz bana kar rakh deta hai use
Dal kar dekhen han han ye phal Dalen ye miThai
ye tikke aur kabab Dalen is mein
aur phir nak par rumal rakh kar dekhen ki banta kya hai in ka
KHair jahan kar-KHane hun wahan gandagi to hoti hai laziman
gandagi na ho to aaludgi sahi
id-e-qurban par shahr ka chakkar to lagya hi hoga aap ne
aziz-o-aqarib se milne ke liye
jo kuchh saDkon aur galiyon mein nazar aata hai ojhaDiyon aur aanton se ubalta hua
wahi kuchh hai mere andar bhi
ye to meri khaal ka kamal hai jo aap ne pas biTha rakkha hai mujhe
aur agar aap mein jhankne ki himmat ho mere dil mein
to shayad abhi uTha den apne pas se mujhe
karda gunahon ki nahin na-karda gunahon ki baat kar raha hun main
KHwahishon aur hasraton ke janaze paDe hain
mere dil mein qatar-andar-qatar
main ne tashbih di thi kabaD-KHane se apne aap ko
asal mein to ek bahut baDa murda-KHana hun main
fasadat mein qatl-e-am dekha ho shayad aap ne
zalzale mein mare jaane walon ki lashen nikalte to dekha hoga logon ko
ya phir telewision par bosina aur koswo mein ijtimai qabron ki khudai ke manazir
jab lawahiqin koshish kar rahe hote hain lashon ko pahchanne ki
aur nak phaT rahe hote hain un ke saDand se
jald-az-jald dobara dafna di jati hain ye lashen
lekin mere dil mein KHwahishon aur hasraton ki lashen gal-saD gai hain paDe paDe
aur main phir bhi dafan nahin karta unhen
dafn karna chahta hi nahin
aur chahun bhi to kahan karun dafn unhen
dimagh mein
dimagh mein kulbulata hafiza kahan mohlat deta hai us ki
dil hi to hai jis mein dafna sakta hun unhen
inhi murda KHwahishon aur hasraton ko dekh dekh kar to jita hun main
ye to dafan hongi mere sath hi
aur ab samajh mein aata hai ki kyun banai jati hain baDi baDi qabren
baadshah log to marne se pahle hi banwa liya karte the apne maqbare aur ehram
mujhe ghin aati thi baDi baDi qabron se
main kaha karta tha dekho un mal-zadon ko
zindagi mein bhi ghere rakhte the zarurat se ziyaada zamin
aur mar kar bhi itni jagah gher lete hain ki KHuda ki zinda maKHluq ko mayassar nahin sar chhupane ko
mar kar bhi nahin miTti zamin ki hirs un ki
magar ab sochta hun shayad unhen waqai zarurat ho baDi qabron ki
shayad un ke andar paDe hun mujh se bhi ziyaada janaze
KHwahishon aur hasraton ke
shayad un ki ojhaDiyon aur aanton mein ghalazat ho mujh se bhi ziyaada
waise kahin main bhi to jawaz nahin DhunDh raha apne liye kushada qabr ka
Nazm
Murda-KHana
Mohammad Haneef Rame