wo chaka-chaund wo shahr ke jalwe
wo tamashe wo kartab ujalon ke
ho rahe mahw hum bas-ki sae the
har taraf shoabde be-karan se the
mubtala jin mein hum jism-o-jaan se the
na raha yaad aae kahan se the
nazar ek den thi KHud nazaron ki
zat apni ibarat unhin se thi
rehn-e-dariya thi girdab ki hasti
uns ke rabton ke amin the hum
ek faza thi jahan har kahin the hum
rabton ke siwa kuchh nahin the hum
khel tha ek charagh-e-tamanna ka
jis ki lau se thi sab raushni barpa
waqt ka tel nazron se ojhal tha
ye guzishta bahaaron ke gul-buTe
chaman-e-arzu ke jigar-goshe
hamein ghere khaDe raste roke
liye aankhon mein ranj-o-mehan apne
kiye jaenge kab tak jatan apne
hamein jaane bhi den ab watan apne
Nazm
Murajat
Muhib Aarfi