khuli aankhon ko koi band kar do
khuli aankhon ki virani se haul aata hai
koi in khuli aankhon ko baDh kar band kar do
ye aankhen ek anokhi yaKH-zada duniya ki
sakit raushni mein kho gai hain
ab in aankhon mein
koi rang paida hai na koi rang pinhan hai
na koi aks-e-gul-ban hai
na koi dagh-e-hirman hai
na ganj-e-shaegan ki aarzu-e-be-nihayat hai
na ranj-e-raegan ka aks-e-larzan hai
agar kuchh hai to bas
ek yaKH-zada naya ka naqsh-e-jawedan hai
ye aankhen
ab shua-e-arzu ki har kiran se yun gurezan hain
ki patthar ban gai hain
ye aankhen mar gai hain
Nazm
Munjamid aankhen
Mahmood Ayaz