اردو हिंदी
Mukafat | Shaahi Shayari
mukafat

Nazm

Mukafat

Noon Meem Rashid

;

rahi hai hazrat-e-yazdan se dosti meri
raha hai zohd se yarana ustuwar mera

guzar gai hai taqaddus mein zindagi meri
dil ahrman se raha hai satiza-kar mera

kisi pe ruh numayan na ho saki meri
raha hai apni umangon pe iKHtiyar mera

dabae rakkha hai sine mein apni aahon ko
wahin diya hai shab o roz pech-o-tab unhen

zaban-e-shauq banaya nahin nigahon ko
kiya nahin kabhi wahshat mein be-naqab unhen

KHayal hi mein kiya parwarish gunahon ki
kabhi kiya na jawani se bahryab unhen

ye mil rahi hai mere zabt ki saza mujh ko
ki ek zahr se labrez hai shabab mera

aziyaton se bhari hai har ek bedari
muhib o ruh-satan hai har ek KHwab mera

ulajh rahi hain nawaen mere sarudon ki
fishaar-e-zabt se be-tab hai rabab mera

magar ye zabt mere qahqahon ka dushman tha
pyam-e-marg-e-jawani tha ijtinab mera

lo aa gai hain wo ban kar muhib taswiren
wo aarzuen ke jin ka kiya tha KHun main ne

lo aa gae hain wahi pairwan-e-ahraman
kiya tha jin ko siyasat se sar-nigun main ne

kabhi na jaan pe dekha tha ye azab-e-alim
kabhi nahin ai mere baKHt-e-wazhgun main ne

magar ye jitni aziyyat bhi den mujhe kam hai
kiya hai ruh ko apni bahut zubun main ne

ise na hone diya main ne ham-nawa-e-shabab
na is pe chalne diya shauq ka fusun main ne

ai kash chhup ke kahin ek gunah kar leta
halawaton se jawani ko apni bhar leta

gunah ek bhi ab tak kiya na kyun main ne