aao ki mai-kadon mein guzaren tamam raat
tanhaiyon mein sohbat-e-jam-o-subu rahe
KHamoshiyon mein kaifiyat-e-guftugu rahe
yaadon ke pech-o-KHam ko sanwaren tamam raat
zahr-e-hayat dil mein utaren tamam raat
ye dar jo band ho to kahin aur uTh chalen
zulmat baDhe to aatish-e-gham tez-tar karen
parwana-war jal ke banen KHak-e-rah-nashin
amboh-e-gard-baad mein raqs sharar karen
uftadgi mein aarzu-e-baal-o-par karen
le jaen kis ke pas ye dagh-e-KHud-agahi
ai soz-e-hijr koi tera raaz-dan nahin
ye shahr-e-na-shanas ye virani-e-hujum
is qafile mein ahl-e-nazar ka nishan nahin
sab ajnabi hain koi yahan ham-zaban nahin
baiThen shafaq ke sae mein KHun-e-jigar piyen
aao ki rasm-e-ahl-e-KHarabaat hai yahi
har ishq-e-saKHt-jaan ki mukafat hai yahi
Nazm
Mukafat
Muneebur Rahman