meri man ko tale lagane ki aadat nahin thi
us ke trunk bhi khule rahte the almariyan bhi
use mohabbat bhi wafar mili thi tauqir bhi
use saheliyan banane ki bhi ijazat thi aur hansne ki bhi
wo gham banT lene mein bhi aazad thi aur KHushiyan taqsim karne mein bhi
use bahut saraha jata tha aur chaha bhi
use waqar bhi diya gaya tha iKHtiyar bhi
use tale lagane ki na aadat thi na zarurat
us ka hath bhi khula tha aur dil bhi
us ki beTi har rose tale KHaridti hai
jagah jagah lagati hai
us ke pas sentne aur chhupane ko bahut kuchh hai
shadi ke agle hi roz
us ne apne pindar ki kirchiyan sameT kar daraaz mein rakkhin
izzat-e-nafs ke TukDe almari mein chhupae
apne waqar ki uDti dhajjiyan sameT kar trunk mein Dalin
har jagah tala lagana paDa
use na saheliyan banane ki ijazat hai na hansne ki
us ke labon par qufl zaruri hai
wo na kisi ka gham banT sakti hai na KHushiyan
use na waqar diya gaya hai na iKHtiyar
us ke hath bhi bandhe hue hain panw bhi
koi kisi trunk mein na dekh le
kisi daraaz mein na jhank le
koi aankhon mein na dekh le
koi dil mein na jhank le
tale lagana us ki zarurat bhi hai majburi bhi
Nazm
Mujhe wirsa nahin mila
Hamida Shahin