mujhe rasta nahin milta
main jauhaD mein khile phulon ke haq mein bol kar
daldal ki tah mein dhans gaya hun
mein nahin kahta ki ye kis aasman ka kaun sa sayyara-e-bad hai
magar ye tah zamin ki aaKHiri chhat hai
yahan din hi nikalta hai na sham-e-umr Dhalti hai
parinda bhi nahin koi ki jis ke panw se koi
nawishta bandh kar bhejun to samjhun us se milne ka
bahana hath aaya hai
sitara bhi nahin koi ki jis se guftugu Thahre
nawah-e-jism mein phaili KHizar-asar tanhai meri sansen baDhati hai
mujhe is daldali goshe se jaane ka koi rasta nahin milta
san ai meri KHizar-asar tanhai
meri KHatir bhi thoDa sa taraddud kar
mujhe bhi to 'sikandar' ke janaze mein pahunchna hai
mujhe bhi aab-e-haiwan se chhalakti maut ka nauha sunana hai
mujhe bhi dur jaana hai
san ai meri KHizar-asar tanhai
mujhe is tuKHm-e-imkan ke dariche se nikalne de
numu ki chaal chalne de
mujhe rasta nahin milta
Nazm
Mujhe rasta nahin milta
Abbas Tabish