ye
aansuon ki jhil hai
yahan har baras
bahut dur se
parinde uD kar aate hain
aur ek pura mausam
basera karte hain
kisi bhi shikari ko
yahan aane ki ijazat nahin hai
mausam ke iKHtitam par
wapsi ka safar shurua hota hai
main
ginti karta hun
wo itne hi hote hain
jitne aae the
main us jhil ko
kabhi KHushk hone nahin dunga
aur har baras
parindon ko
KHush-amdid kahunga
aur kabhi un se ye nahin puchhunga
wo dusra mausam
kis jhil mein guzarte hain
Nazm
Mujhe malum hai
mustafa arbab