simaT kar kis liye nuqta nahin banti zamin kah do
ye phaila aasman us waqt kyun dil ko lubhata tha
har ek samt ab anokhe log hain aur un ki baaten hain
koi dil se phisal jati koi sine mein chubh jati
inhi baaton ki lahron par baha jata hai ye bajra
jise sahil nahin milta
main jis ke samne aaun mujhe lazim hai halki muskurahaT mein kahen ye honT tum ko
jaanta hun dil kahe 'kab chahta hun main'
inhi lahron pe bahta hun mujhe sahil nahin milta
simaT kar kis liye nuqta nahin banti zamin kah do
wo kaisi muskurahaT thi bahan ki muskurahaT thi, mera bhai bhi hansta tha
wo hansta tha bahan hansti hai apne dil mein kahti hai
ye kaisi baat bhai ne kahi dekho wo amman aur abba ko hansi aai
magar yun waqt bahta hai tamasha ban gaya sahil
mujhe sahil nahin milta
simaT kar kis liye nuqta nahin banti zamin kah do
ye kaisa pher hai taqdir ka ye pher to shayad nahin lekin
ye phaila aasman us waqt kyun dil ko lubhata hai
hayat-e-muKHtasar sab ki bahi jati hai aur main bhi
har ek ko dekhta hun muskuraata hai ki hansta hai
koi hansta nazar aae koi rota nazar aae
main sab ko dekhta hun dekh kar KHamosh rahta hun
mujhe sahil nahin milta!
Nazm
Mujhe ghar yaad aata hai
Meeraji