zamane! tahniyat tujh ko
ki phir maidan mara hai
magar ab ke jo haara hai
baDa hi saKHt-jaan nikla
muqabil tere aane ko bahut tayar phirta tha
liye hathiyar phirta tha
wafa ke, zarf ke
aankhon mein raushan KHush-gumani ke
labon par khelti KHwahish,
suKHan mein nachti ek hausla-mandi
ragon mein dauDta sayyal irada tha
badan par KHwab ki pahne zira-baktar
jabin par be-niyazi KHud ki surat Tikai thi
gira ke farsh par is ko
baDa arsa laga tujh ko
ki is kashana-e-ummid bhi lams-e-zamin chakkhe
phir is ke baad
kitni der tak us ka
adam taslim-e-paspai mein chillate hue rahna
zamane tahniyat tujh ko
ki ab ki martaba jis ko pachhaDa hai
baDa hi saKHt-jaan tha wo!!

Nazm
Mubarakbaad
Saima Esma