main bhaTka hua ek musafir
rah-o-rasm-e-manzil se na-ashnai pe nazan
taaqub mein apni hi parchhaiyon ke rawan tha
mere jism ka bojh dharti sambhaale hue thi
magar us ki ranaiyon se mujhe koi dil-bastagi hi nahin thi
kabhi rah chalte hue KHak ki ruh-parwar kashish
main ne mahsus ki hi nahin thi
main aankhon se bina tha lekin
mere chaar-su chadaren aainon ki tarah thin
ki jin ke liye mera partaw hi tha ek zinda haqiqat
kisi dusre ko gawara na thi is mein shirkat
main kanon se bahra nahin tha
magar jis tarah kohna gumbad mein chamgadaDon ke bhaTakne ki aawaz gunjti nahin hai
khule aasman ke parindon ki chahkar andar pahunchti nahin hai
isi tarah mera bhi zauq-e-samaat rasa tha faqat apni hi dhaDkanon tak
bas apne lahu ki subuk aahaTon tak
main bhaTka hua ek musafir
meri rah par miT chuke the safar ke ishaaraat sare
faramoshiyon ki ghani dhund mein kho chuke the jihat ke nishanat sare
rah-e-rasm-e-manzil se main aashna hi nahin tha
magar main akela
karoDon ki is bhiD mein bhi udas aur akela
taaqub mein apni hi parchhaiyon ke rawan tha
main shayad hamesha yunhi apni parchhaiyon ke taaqub mein hairan phirta
agar raushni mujh pe chamki na hoti
mubarak wo saat ki jab maut aur tirgi ke ghane saeban ke tale
raushni mujh pe chamki
mere dil pe dharti ne aur us ke arfa mazahir ne apni mohabbat raqam ki
mubarak wo saat ki jab barq ke koDe lahraati
lohe ki chilon se aur
aatishin tir barsate faulad ke par darindon se muDbheD mein
main ne dekhe
mere sathiyon ke jigar mein taraazu hain jo tir
hua hun main KHud un ka naKHchir
jo qatra lahu ka gira un ke tan se
baha hai wo mere badan se
mubarak wo saat ki jab main ne jaana
meri dhaDkanon mein karoDon dilon ki sada hai
meri ruh mein mushtarak garche qalib juda hai
Nazm
Mubarak wo saat
Shakeb Jalali