yaad rahe
chahaton ka ye shahr
KHwabon ka mohalla
ishq ki gali
aur kachcha makan mohabbat ka
jo hamara hai
KHushbuon ki diwaren hain jahan
ehsasat ki chhaten
hansi aur aansuon se
lipa-puta aangan hai
hara-bhara
gahri chhanw wala
pyar ka ek peD hai jahan
qisson ke chauke mein
baaton ke kuchh bartan
aundhe hain sharmile se
to kuchh sidhe muskuraate hue
shikayaton ke dhuen se
kale kuchh bartan
hamara munh takte hain
ki kyun nahin unhen saf kiya
ragaD kar hum ne
bhitar ek trunk bhi hai
lamhon se bhara
reshmi chadaron mein
yaadon ki silwaTen hain
aale mein jalta charagh
wo khuTiyon par laTakte
do jismon ki jhilliyan
jangalon aur khiDkiyon se
jhankti chahaten hamari
darwaze ki chaukhaT se
Tapakti hui
barsat ki pagal bunden kuchh
hawa ke kuchh jhonke
aur na jaane kya kya
sab bik jaega ek din
samaj ke hathon
riwajen boliyan lagaengi
zat bhaw baDhaegi apna
aur KHarid lenge
janam ke zamin-dar
wo makan hamara
Nazm
Mohabbat ka ghar
Varsha Gorchhia