mohabbat koi numayan nishan nahin
jis se lash ki shanaKHt mein aasani ho
jab tak tum mohabbat ko daryaft kar sako
wo wan rawana ho chuki hogi
jo un lashon ko le jati hai
jin par kisi ka dawa nahin
shayad wo raste mein
tumhaari sawari ke barabar se guzri ho
ya shayad tum us raste se nahin aain
jis se
mohabbat mein mare jaane wale le jae jate hain
shayad wo waqt
jis mein mohabbat ko daryaft kiya ja sakta
tum ne kisi jabri mashq ko de diya
patthar ki sil par liTaya hua waqt
aur intizar ki aaKHiri had tak khinchi hui
safed chadar
tumhaari mashq KHatm hone se pahle tabdil ho gae
shayad tumhaare pas
ittifaqiya ruKHsat ke liye koi din
aur mohabbat ki shanaKHt ke liye
koi KHwab nahin tha
us waqt tak jab tum
mohabbat ko apne hathon se chhu kar dekh saktin
wo wan rawana ho chuki hogi
jo un KHwabon ko le jati hai
jin par kisi ko dawa nahin
Nazm
Mohabbat
Afzal Ahmad Syed