be-faiz saaton mein
munh-zor mausamon mein
KHud se kalam karte
ukhDi hui tanabon
din-bhar ki saKHtiyon se
ukta ke so gae the
barish thi be-nihayat
miTTi se uTh rahi thi
KHushbu kisi watan ki
KHushbu se jhankte the
galiyan makan dariche
aur bachpane ke aangan
ek dhup ke kinare
aasaishon ke maidan
uDte hue parinde
ek ujle aasman par
do nim-baz aankhen
bedariyon ki zad par
ta-hadd-e-KHak uDte
be-samt be-irada
kuchh KHwab fursaton ke
kuchh nam chahaton ke
kin paniyon mein utre
kin bastiyon se guzre
thi subh kis zamin par
aur shab kahan pe aai
miTTi thi kis jagah ki
uDti phiri kahan par
is KHak-dan pe kuchh bhi
daim nahin rahega
hai panw mein jo chakkar
qaem nahin rahega
dastak thi kin dinon ki
aawaz kin ruton ki
KHana-ba-dosh jage
KHemon mein uD rahi thin
aankhon mein bhar gai thi
ek aur shab ke ninden
aur shahr-e-be-aman mein
phir subh ho rahi thi
Nazm
MiTTi thi kis jagah ki
Abrar Ahmad