nashsha jis waqt bhi TuTega, kai andeshe
subh-e-lab-basta ke sine mein utar aaenge
mahfil-e-shoala-e-shab-tab ke sare lamhe
rakh ho jaenge palkon pe bikhar jaenge
ret dar aaegi sunsan shabistanon mein
aur bagule pas-e-diwar nazar aaenge
is se pahle ki ye ho jae, mere zaKHmi honT
main ye chahunga ki be-lahn-o-sada ho jaen
main ye chahunga ki bujh jae meri sham-e-KHayal
is se pahle ki sab ahbab juda ho jaen
is liye mujh se na puchho ki safa-e-yaran mein
kyun ye dil be-hunar-o-husn-o-tamiz itna hai
aur ai dida-waro! ye bhi na puchho ki mujhe
saghar-e-zahr bhi kyun jaan se aziz itna hai
Nazm
Mere zaKHmi honT
Mustafa Zaidi