mir ho mirza ho mera ji ho
na-rasa hath ki nam-naki hai
ek hi chiKH hai furqat ke bayabanon mein
ek hi tul-e-alam-naki hai
ek hi ruh jo behaal hai zindanon mein
ek hi qaid tamanna ki hai
ahd-e-rafta ke bahut KHwab tamanna mein hain
aur kuchh wahme aainda ke
phir bhi andesha wo aaina hai jis mein goya
mir ho mirza ho mera ji ho
kuchh nahin dekhte hain
mahwar-e-ishq ki KHud-mast haqiqat ke siwa
apne hi bim o raja apni hi surat ke siwa
apne rang apne badan apne hi qamat ke siwa
apni tanhai-e-jaan-kah ki dahshat ke siwa!
dil-KHarashi o jigar-chaaki o KHun-afshani
hun to nakaam pe hote hain mujhe kaam bahut
muddaa mahw-e-tamasha-e-shikast-e-dil hai
aaina-KHane mein koi liye jata hai mujhe
raat ke phaile andhere mein koi saya na tha
chand ke aane pe sae aae
sae hilte hue ghulte hue kuchh bhut se ban jate hain
mir ho mirza ho mera ji ho
apni hi zat ki ghirbaal mein chhan jate hain
dil-KHarashida ho KHun-dada rahe
aaina-KHane ke rezon pe hum istada rahe
chand ke aane pe sae bahut aae bhi
hum bahut sayon se ghabrae bhi
mir ho mirza ho mera ji ho
aaj jaan ek nae hangame mein dar aai hai
mah-e-be-saya ki darai hai
yaad wo ishrat-e-KHun-nab kise
fursat-e-KHwab kise
Nazm
Mir ho mirza ho mera ji ho
Noon Meem Rashid