shahid-e-bazm-e-suKHan nazura-e-mani-taraaz
ai KHuda-e-reKHta paighambar-e-soz-o-gudaz
yusuf-e-mulk-e-maani pir-e-kanan-e-suKHan
hai teri har bait ahl-e-dard ko bait-ul-huzan
ai shahid-e-jalwa-e-mani faqir-e-be-niyaz
is tarah kis ne kahi hai dastan-e-soz-o-saz
hai adab urdu ka nazan jis pe wo hai teri zat
sar-zamin-e-sher par ai chashma-e-ab-e-hayat
tafta-dil aashufta-sar aatish-nawa be-KHeshtan
aah teri sina-soz aur nala tera dil-shikan
KHatm tujh par ho gaya lutf-e-bayan-e-ashiqi
marhaba ai waqif-e-raaz-e-nihan-e-ashiqi
sar-zamin-e-sher kaba aur tu is ka KHalil
shaKH-e-tuba-e-suKHan par hamnawa-e-jibrail
josh-e-istighna tera tere liye wajh-e-nashat
shan-e-KHuddari teri aaina-dar-e-ehtiyat
bazm se guzra kamal-e-faqr dikhlata hua
taj-e-shahi pa-e-istighna se Thukraata hua
tha dimagh-o-dil mein sahba-e-qanat ka surur
thi jawab-e-satwat-e-shahi teri tab-e-ghayur
mauja-e-bahr-e-qanat teri abru ki shikan
taKHt-e-shahi par hasir-e-faqr tera KHanda-zan
tha ye jauhar teri fitri shairi ke rutba-dan
izzat-e-fan thi teri nazuk-mizaji mein nihan
multafit karta tujhe kya aghniya ka karr-o-farr
tha teri rag rag mein durweshon ki sohbat ka asar
dil tera zaKHmon se bazm-e-ashiqi mein chur hai
jis suKHan ko dekhiye rista hua nasur hai
bazm-gah-e-husn mein ek partaw-e-faiz-e-jamal
said-gah-e-ishq mein hai ek said-e-KHasta-haal
dekhna ho gar tujhe dekhe tere afkar mein
hai teri taswir tere KHun-chakan ashaar mein
sair ke qabil hai dil sad-para us naKHchir ka
jis ke har TukDe mein ho paiwast paikan tir ka
aasman-e-sher par chamke hain sayyare bahut
apni apni raushni dikhla gae tare bahut
ahd-e-gul hai aur wahi rangini-e-gulzar hai
KHak-e-hind ab tak agar dekho tajalli-zar hai
aur bhi hain marke mein shahsawar-e-yakka-taz
aur bhi hain mai-kade mein saqiyan-e-dil-nawaz
hain to paimane wahi lekin wo mai milti nahin
naghma-sanjon mein kisi se teri lai milti nahin
sahiban-e-zauq ke sinon mein thi jis ki khaTak
tairte hain dil mein wo sar-tez nashtar aaj tak
karwan-e-rafta ko tha teri yaktai pe naz
asr-e-maujuda ne bhi mana hai tera imtiyaz
ho gae hain aaj tujh ko ek sau bais sal
to nahin zinda hai duniya mein magar tera kamal
haq hai hum par yaad kar ke tujh ko rona chahiye
matam apni na-shanasi ka bhi hona chahiye
DhunDte hain qabr ka bhi ab nishan milta nahin
ai zamin tujh mein hamara aasman milta nahin
Nazm
Mir
Aziz Lakhnavi