اردو हिंदी
Mez par rakhe hath | Shaahi Shayari
mez par rakhe hath

Nazm

Mez par rakhe hath

Azra Abbas

;

mez par rakhe hain hath
hathon ko mez par se uThati hun

phir bhi paDe rahte hain
mez par

aur hanste hain
mez par rakhe

apne hi do hathon ko
hathon se uThana mushkil lagta hai

mein hathon ko danton se
uThati hun

par hath nahin uThte
mez par rah jate hain

danton ke nishanon se bhare hue
sakit aur ghurte hue

main bhi hathon ko ghurti hun
mez ka rang aaankhon mein

bhar jata hai
main aanhken band kar leti hun

so jati hun
mez par rakhe hue hathon par

sar rakh kar