kan pak jate hain duniya ki shikayat sun kar
kis ne jaana hai tumhein kis ka yaqin kar lun main
wo jo kahte hain ke tum aam si laDki ho jise
fikr apni hai kisi aur se matlab hi nahin
apni rozana ki routine mein mein jakDi jakDi
wo hi metro ki sawari wo hi aapa-dhapi
til na dharne ki jagah phir bhi pahunchna hai jise
apni har chiz sambhaale hue rahna hai jise
kaun aaya hai pas-o-pesh samajhne ke liye
kaun aaega ye taswir badalne ke liye
kitna aasan hai ilzamon se chhalni karna
kitna aasan hai do baaton se zaKHmi karna
aise haalat se laD kar jise kuchh banna hai
pure karne hain kai KHwab tamanna hai kuchh
us ke pairon ki ye zanjir haTani hogi
nasl-e-hawwa ki ye taswir miTani hogi
tum se raushan hai har ek ghar magar aisa kyun hai
tum taDapti ho to ye jag mera hansta kyun hai
bairi duniya ne tumhein Thik se parkha hi nahin
meri aankhon se kisi ne tumhein dekha hi nahin
Nazm
Metro shahr ki ek aam laDki
Ozair Rahman