اردو हिंदी
Meri umr mein bahut se waqt nahin aae | Shaahi Shayari
meri umr mein bahut se waqt nahin aae

Nazm

Meri umr mein bahut se waqt nahin aae

Syed Kashif Raza

;

waqt ki jis mein us se pyar ki baaten karni thin
waqt ki jis mein us ke jism se sansen bharni thin

waqt ki jis mein dil ke dard ka daru DhunDna tha
kisi ki aankh mein apne nam ka aansu DhunDna tha

waqt ki jis mein dukh ki rakh se phul nikalne the
waqt ki jis mein waqt ke tewar aan badalne the

waqt ki jis mein kisi se koi wada karna tha
jina hai ya marna ek irada karna tha

waqt ki jis mein kisi ke waqt mein shirkat chahiye thi
muTThi bhar fursat chuTki bhar chahat chahiye thi

lekin meri umr mein bahut se waqt nahin aae